■ AMALIYAT ASMA E HUSNA ■
♥ Asma e Husna :- Ya Ganiyyu (یَا غَنِیُّ) Ki Fazilat o Wazaif
★ Allah Ta’ala Ka Ek Sifati Naam Hai Ya Ganiyyu. Yani
Ai Be Parwah. Beshak Allah Gani Hai. Aam Taur Par Gani Ka Matlab Liya Jata Hai
Ke Maal o Asbab Is Qadar Zyada Ho Ke Kisi Ka Mohtaj Na Hona Pade. Allah Ta’ala
Har Chiz Ka Khaliq o Malik Hai, Aur Beshak Har Tarah Ke Khazane Us Ke Pas Hai.
Wo Yakeenan Apni Makhlooq Se Beniyaz Hai. Isi Liye Use Gani Keh Kar Pukara Jata
Hai. Qurane Pak Ki Kai Aayato Me Is Ka Zikr Milta Hai. Ye Isme Pak Jalali Hai
Aur Kul Adad Is Isme Pak Ke 1060 Hai
★ Ye Isme Pak Dukan Ki Tarakki Ke Liye Lajawab Hai.
Jis Shakhs Ki Dukan Na Chalti Ho Ya Income Itni Kam Hoti Ho Ke Guzara Mushkil
Ho Jata Ho To Use Chahiye Ke Subah Dukan Khol Kar Ye Isme Pak 11000 Bar Padhe
Aur 1 Saal Tak Lagatar Ye Amal Pabandi Se Karta Rahe. In sha Allah Dukan Is
Qadar Chalne Lagegi Ke Log Dekhte Reh Jayenge. Agar Pehle Dukan Chalti Thi Aur
Ab Nahi Chal Rahi To Bhi Ye Amal Kar Sakte Hai
★ Agar Kisi Shakhs Ko Shikayat Ho Ke Wo Jo Kuch Kamata
Hai Us Ka Pata Nahi Chalta Ke Jata Kaha Hai, Yani Us Ke Paise Me Aur Ghar Me
Aur Aamdani Me Barkat Na Ho To Use Chahiye Ke Halal Rozi Kamaye Aur Namaz Ki
Pabandi Kare Aur Fir Rozana Subah Ya Sham 1100 Bar Ye Isme Pak Pabandi Se Padha
Kare. In sha Allah Aamdani Me Barkat Paida Ho Jayegi
★ Aisa Nek Shakhs Jo Tangdasti Aur Gurbat Ka Shikar
Ho, Kharcha Kisi Tarah Se Bhi Pura Na Hota Ho, Income Ke Zariye Sahi Na Ho To
Use Chahiye Ke 1 Saal Tak Rozana Pabandi Se Ye Isme Pak 11000 Bar Padhe. Allah
Ta’ala Apne Fazl Se Hasbe Zarurat Rizk Me Kushadagi Aur Barkat Farma Dega
★ Agar Koi Shakhs Pabandi Se Har Jumerat Ke Din Me Ya
Fir Har Shab e Juma Me Ye Isme Pak 19000 Bar Hamesha Padhta Rahe To Us Par
Fazle Ilahi Ke Darwaze Khul Jayenge Aur Use Be Panah Daulat Hasil Hogi. Sari
Umar Ye Amal Jari Rakhega To Kisi Ke Samne Hath Nahi Failana Padega, Balke
Hamesha Us Ka Hath Dene Walo Me Shamil Rahega, In sha Allah
★ Agar Koi Shakhs Pasand Ki Shadi Karna Chahta Ho To
Rishta Bhejne Se Pehle Ye Isme Pak 21 Din Tak Rozana 6250 Bar Padhe Aur Dua
Kare. Amal Mukammal Hone Ke Bad Fir Shariat Ke Hukm Ke Mutabik Rishta Bheje.
Agar Us Rishte Me Allah Ki Marzi Aur Raza Mandi Shamil Hui To Rishta Fauran
Qubool Ho Jayega Aur Koi Rukawat Nahi Aayegi
★ Har Tarah Ki Nek Aur Jaiz Murad Puri Karne Ke Liye
Ye Isme Pak 41 Din Tak Rozana 700 Bar Padhe. In sha Allah Murad Hasil Karega
★ Agar Koi Shakhs Rozana Ye Isme Pak 1060 Bar Bad
Namaze Maghrib Padhe Aur Lagatar 40 Din Tak Padhta Rahe Aur Padh Kar Apne Seene
Par Dam Karta Rahe To Us Ke Dil Se Tamam Tarah Ka Bughz , Hasad Aur Lalach
Jaisi Buri Aadate Hamesha Ke Liye Nikal Jayegi, In sha Allah
★ Agar Kisi Shakhs Ko Koi Ranj o Gham Ka Mamla Pesh
Aaya Ho Aur Us Se Sabr Na Hota Ho To 70 Bar Is Isme Pak Ko Subah Sham Padh Kar
Pani Par Dam Kar Ke Piye Aur Is Amal Ko 7 Din Tak Kare. In sha Allah Sabr o
Zabt Ki Salahiyat Paida Ho Jayegi
★ Agar Koi Shakhs Nafziyati Bimari Ya Lalach Ka Shikar
Ho Aur Us Marz Se Apni Nijat Chahta Ho To Wo Namaze Fajar Ke Bad Ye Isme Pak Apne
Sir Par Hath Rakh Kar 100 Bar Aur Fir Apne Dil Par Hath Rakh Kar 100 Bar Padhe
Aur Is Amal Ko Lagatar 21 Din Tak Padhta Rahe. In sha Allah Nijat Hasil Karega
★ Agar Koi Dukandar Ya Tajeer Rozana Apni Dukan Ya
Karobar Ki Jagah Ka Tala Kholne Se Pehle Ye Isme Pak 70 Bar Padhe Aur Padhne Ke
Bad Tala Khole, To In sha Allah Us Ki Dukan Ya Karobar Ki Jagah Me Khoob
Tarakki Ho Aur Us Ka Rizk Ba Fazle Khuda Badhta Chala Jayega
★ Agar Koi Shakhs Is Isme Pak Ka Aamil
Banna Chahe To Us Ke Liye Amal Nau Chandi Jumerat Se Shuru Kare Aur Mukammal
Parhez Jalali Jamali Ke Sath Chille Ki Tamam Sharaito Par Amal Karte Hue 40 Din
Tak Rozana Bad Namaze Isha Tanhai Me Ye Isme Pak 12500 Bar Padhe To 40 Din
Ke Bad Aamil Ban Jayega. Fir Rozana 1060 Bar Is Isme Pak Ka Vird Karta Rahe.
Aamil Banne Ke Bad Zarurat Mando Ko Is
Isme Pak Ka Taveez Diya Ja Sakta Hai
■ ROOHANI ILAJ Group
Me Shamil Hone Ke Liye Apna Name, Whatsapp Mobile No. Aur City Name Niche Diye
Gaye No Pe Msg Kare...
● ROOHANI ILAJ ki Purani Post Hasil Karne k Liye Is Link Par
Visit Kare :
www.faizeroohani.wordpress.com