Monday, 10 September 2018

● ASMA E HUSNA :- (یَا وَکِیْلُ) YA WAKEELU ●

             ■ AMALIYAT ASMA E HUSNA

Asma e Husna :- Ya Wakeelu (یَا وَکِیْلُ) Ki Fazilat o Wazaif

Allah Ta’ala Ka Ek Sifati Naam Ya Wakeelu Hai Yani Ai Kaarsaz. Insani Zindagi Ka Dar o Madar Allah Ta’ala Ki Inayat Par Hai Aur Wo Hi Hamare Tamam Muamlat Ko Durust Farmata Hai. Chahe Wo Zahiri Ho Ya Batini, Deeni Ho Ya Duniyavi. Allah Hi Hamare Har Kam Ko Ahsan Tarike Se Sar Anjam Deta Hai. Isi Wajah Se Allah Hamara Wakeel Hai. Allah Ke Siwa Kisi Ka Aur Koi Kaarsaz Nahi Hai. Qurane Pak Me Isi Liye Irshade Bari Ta’ala He Ke, “Allah Hi Hamare Liye Kafi Hai Aur Wo Hi Behtarin Kaarsaz Hai”. Ek Aur Jagah Sure Ahzab Me Hai Ke, “Allah Par Tawakkal Karo.” Ye Isme Pak Jamali Hai Aur Kul Adad Qamari Is Ke 66 Hai

Ye Isme Pak Har Tarah Ke Khauf Me Kifayat Karta Hai. Agar Koi Jungle Me Ja Raha Ho Aur Ye Isme Pak Ka Wird Karta Rahe To Us Ke Pas Koi Nuksan Pahochane Wala Janwar Nahi Aayega. Aise Hi Kisi Makan Ya Imarat Ko AAg Ya Zalzale Ke Wakt 1000 Bar Padh Liya Jaye To Wo Imarat Nuksan Se Mehfuz Rahegi

Aksar Logo Ko Apne Zehni Waswaso Ki Wajah Se Hamesha Ek Kism Ka Khauf Aur Darr Mehsus Hota Rehta Hai, Jo Mahaz Un ke Dimag Ka Wahem Aur Faltu Soch Ke Alawa Kuch Nahi Hota. Lekin Ek Khauf Hota Dil Me Ghar Kar Jata Hai. Aise Logo Ko Chahiye Ke Is Isme Pak Ko Rozana 1000 Bar Padh Liya Kare Aur Seene Par Dam Kar Liya Kare. Tamam Khauf Dur Ho Jayenge

Ye Isme Pak Husule Murad Ke Liye Bhi Akseer Hai. Agar Kisi Shakhs Ki Koi Jaiz Hajat Ho To Use Chahiye Ke Har Namaz Ke Bad Sure Fateha 41 Bar, Fir Ye Isme Pak 1100 Bar, Fir Sure Fateha 41 Bar Padhe. Fir Apni Jaiz Hajat Ki Dua Mange. Isi Tarah Kul 21 Din Tak Padhta Rahe. Allah Ne Chaha To Us Ki Murad Agar Jaiz Hui To Puri Hogi

Hzrt Imam Ahmed Bin Ali Boni رحمۃ اللہ علیہ Farmate Hai Ke Ye Isme Pak Ko Kasrat Se Padhne Wale Ke Asbabe Rizk Me Allah Ta’ala Izafa Farma Deta Hai. Jis Shakhs Ka Naam “Muhammad” Ho Us Ke Liye Is Ka Zikr Bahot Mufeed Hai. Agar Koi Shakhs Is Isme Pak Ko Is Tarah Se (یَا وَکِیْلُ یَا کَفِیْلُ) Padhe To Is Ki Taseed Bahot Badh Jayegi

Agar Kisi Shakhs Ka Koi Kam Bigad Gaya Ho To Use Chahiye Ke 40 Din Tak Is Isme Pak Ko Rozana 3125 Bar Padhe Aur Bad Amal Rozana 100 Bar (یَا اَللہ) Ka Wird Kare. In sha Allah Us Ka Bigda Hua Kam Durust Ho Jayega

Musfir Agar Is Isme Pak Ko Padhta Rahe To Us Ka Safar Acha Guzre. Agar Safar Me Saman Ya Paise Khatam Ho Jaye To Is Ism Ko Padhne Se Allah Koi Zariya Bana Dega. Agar Koi Shakhs Qaid Me Hai To Is Ism Ko Padhne Se Rihaee Mil Jayegi. Agar Koi Maqrooz Hai To Us Ka Qarz Ada Hone Ki Soorat Ban Jayegi

Jis Insan Ka Nafs Qabu Me Na Rehta Ho Aur Hama Wakt Haram Kam Ki Taraf Ragib Rehta Ho To Is Isme Pak Ko Rozana 1000 Bar Padhe. Allah Ke Hukm Se Us Ka Nafs Qabu Me Aa Jayega

Jo Shakhs Kisi Bhi Chiz Se Masalan Pani Se, Bijli Se, Unchai Se, Andhere Se, Safar Me Ya Aisi Kisi Bhi Chiz Se Darta Ho To Use Chahiye Ke Har Farz Namaz Ke Bad 66 Bar Is Isme Pak Ka Wird Kar Liya Kare. Tamam Chizo Ka Khauf Us Ke Dil Se Nikal Jayega

Tamam Tarah Ki Nagahani Aafato Aur Musibato Se Bachne Ke Liye Is Isme Pak Ko Rozana 3125 Bar 40 Din Tak Padhte Rahe. Kaisi Bhi Musibate Aur Aafate Hongi Allah Ke Fazl Se Un Se Najat Mil Jayegi

Agar Kisi Ko Andesha Ho Ke Us Ke Makan Par Bijli Giregi Ya Zalzale Me Hifazat Chahta Ho To Ek Kagaz Par 7 Bar Ye Isme Pak Likh Kar Lamination Karwa Kar Ghar Ke Darwaze Par Chaspa Kar De. In sha Allah Makan Tamam Aafato Se Mehfuz Rahega

Agar Koi Shakhs Rat Ko Sote Wakt 7 Bar Is Isme Pak Ko Padh Kar Dastak De Yani Tali Bajaye To Us Ka Makan Us Rat Me Chori Aur Dakazani Se Mehfuz Rahega

Agar Koi Shakhs Maqrooz Ho Gaya Ho Aur Qarz Ki Adayagi Ki Koi Soorat Na Banti Ho To Rozana Subah Sham Is Isme Pak Ko 1100 Bar Padhna Shuru Kar De. Allah Ne Chaha To Jaldi Hi Koi Asbab Ban Jayega

Hzrt Imam Ahmed Bin Ali Boni رحمۃ اللہ علیہ Farmate Hai Ke Agar Kisi Ka Koi Dushman Taqatwar Ho Aur Us Ko Apne Dushman Se Apni Jaan o Maal Ka Khatra Darpesh Ho To Use Chahiye Ke 11 Din Tak Is Amal Ko Is Tarah Se Kare Ke, Rozana 11000 Bar Is Isme Pak Ko Padhe Aur Us Ke Bad 11 Bar Ye Wird (حَسْبِیَ اللہُ وَ نِعْمَ الْوَکِیْلُ) Padhe Aur Awwal Aakhir 11 Bar Durude Ibrahim Padhe. In sha Allah Dushman Ki Harkato se Mehfuz Rahega

Agar Koi Shakhs Rozana Ye Kalemat (یَا وَکِیْلُ یَا کَفِیْلُ) 360 Bar Padhne Ka Apna Mamool Bana Le To Us Par Rozi Ke Darwaze Khul Jayenge

Agar Koi Shakhs Jail Me Band Ho Aur Chahta Ho Ke Us Ki Rihaee Ho Jaye To Rozana Ye Isme Pak 660 Bar Subah Aur Sham Padhne Ka Apna Mamool Bana Le. In sha Allah Bahot Jaldi Us Ki Rihaee Ka Faisala Ho Jayega

Jis Ilake Me Ya Ghar Me Saanp, Bichoo Jaise Moozi Janwar Nikalte Ho To Qamar Dar Aqrab Ke Wakt Me Is Isme Pak Ke Naksh Musallas Ya Murabba Ko Likh Kar Ghar Me Rakhe. In sha Allah Tamam Moozi Janwar Ghar Me Se Bhag Jayenge

Jo Shakhs Rozana Subah Sham Ye Kalemat 100 Bar Padhe :-

وَکَفٰی بِاللہِ وَکِیْلًا ۔ وَکَفٰی بِاللہِ وَلِیًا ۔ وَکَفٰی بِاللہِ نَصِیْرًا ۔ وَکَفٰی بِاللہِ حَسِیْبًا ۔ وَکَفٰی بِاللہِ شَھِیْدًا ۔ وَکَفٰی بِاللہِ عَلِیْمًا ۔

Aur In Kalemat Ke Is Naksh Ko Kisi Nek Sa’at Me Likh Kar Green Kapde Me Pack Kar Ke Apne Sidhe Bazu Par Bandhe To Us Ko Duniya Me Izzat o Rifa’at Hasil Ho Aur Us Ka Dushman Maghloob Ho Aur Tamam Makhlooq Par Raub Qayam Ho
(NAKSH KI IMAGE YE HAI)



Is Isme Pak Ka Ye Musallas Naksh Aqabireen Se Nakal Hota Aaya Hai. Jo Shaksh Is Naksh Ko Kisi Sa’at Saeed Me Likh Kar Apne Pas Rakhega Us Ki Kul Hajate Aur Murade Puri Hongi. In sha Allah. Naksh Khaki Chal Se Banaya Jayega.
(NAKSH KI IMAGE YE HAI)



Agar Koi Shakhs Is Isme Pak Ka Aamil Banna Chahe To Us Ke Liye Amal Nau Chandi Jumerat Se Shuru Kare Aur Mukammal Parhez Jalali Jamali Ke Sath Chille Ki Tamam Sharaito Par Amal Karte Hue 40 Din Tak Rozana Bad Namaze Isha Tanhai Me Ye Isme Pak 6250 Bar Padhe To 40 Din Ke Bad Aamil Ban Jayega. Fir Rozana 66 Bar Is Isme Pak Ka Vird Karta Rahe. Aamil Banne Ke Bad Zarurat Mando Ko Is Isme Pak Ka Taveez Diya Ja Sakta Hai

ROOHANI ILAJ Group Me Shamil Hone Ke Liye Apna Name, Whatsapp Mobile No. Aur City Name Niche Diye Gaye No Pe Msg Kare...

+91 99795 78644

ROOHANI ILAJ ki Purani Post Hasil Karne k Liye Is Link Par Visit Kare :

www.faizeroohani.wordpress.com

No comments:

Post a Comment