■ AMALIYAT E ASMA E HUSNA ■
♥ POST :- 2 ♥
★ Asma e Husna K Talluk Se Kuch Basharate :-
★ Hadees Sharif Me Aayate Karima
لا اله الا انت سبحانك اني كنت من الظالمين
K Bare Me Farmaya Hai K Ye Isme Aazam Hai. Aayate Karima Qubul e Dua aur Dafa e Bala Me Khas Asar Rakhti Hai. Hzrt Sa'ad Bin Abi Wakkas رضي الله عنه Ki Hadees Me Hai K AAQA ﷺ Ne Farmaya k Mai Tumhe Allah Ta'ala Ka Wo Isme Aazam Na Bata Du K Jab Wo Is Se Pukara Jaye To Suna Kare Aur Jab Us Se Sawal Kiya Jaye To Ata Kare... (Wo Dua Ye Aayate Karima Hai)
★ AAQA ﷺ Ne Ek Aadmi Ko Ye Kehte Suna K
اَللّٰھُمَّ اِنِّی اَسْئَلُکَ بِا اَنِّی اَشْھَدُ اَنَّکَ اَنْتَ اللّٰهُ لَا اِلٰهَ
اِلَّا اَنْتَ الْاَحَدُ الصَّمَدُ الَّذِی لَمْ یَلِدْ وَلَمْ یُوْلَدْ وَلَمْ یَکُنْ
لَهُ کُفُوًا اَحَدٌ ○
To Irshad Farmaya K Khuda Ki Kasam Tune Allah Ta'ala Se Wo Isme Aazam Le Kar Sawal Kiya K Jab Us Se Sawal Kiya Jata Hai To Allah Ta'ala Ata Karta Hai. Jab Us Se Dua Ki Jati Hai To Qubul Farmata Hai.
★ Hzrt Bin Yahya رضي الله عنه se Riwayat Hai k Dua Karta Tha Allah Ta'ala Se K Muje Isme Aazam Dikha De. Muje Aasman Me Ek Sitara Nazar Aaya Jis Par Likha tha...
یَا بَدِیْعَ السَّمٰوٰتِ وَالْاَرْضِ یاَ ذَالْجَلَالِ وَالْاِکْرَامِ
★ Ek Hadees Me Aaya Hai K Isme Aazam In Do Aayato Me Hai...
اِلٰھُکُمْ اِلٰهٌ وَّاحِدٌ لَا اِلٰهَ اِلَّا ھُوَ الرَّحْمٰنُ الرَّحِیْمُ ○
Aur
الم اَللّٰهُ لَا اِلٰهَ اِلَّا ھُوَ الْحَیُّ الْقَیُّوم ○
《¤》 AHWAL : Tirmizi, Ahmed, Nasaai, Baihaqi, Ibne Majah, Abu Dawood
■ Insha Allah Agli Post Me Kuch aur Basharto Ka Hawale K Sath zikr Kiya Jayega.
✏ To Be Continue..... ✍
● Is msg ko jyada se jyada share kare.
◆ ROOHANI ILAJ Group me shamil hone ke liye Apna Name, whatsapp Mobile no. aur City name niche diye gaye no pe msg kare...
Mob no. : +91 99795 78644
》》 ROOHANI ILAJ ki Purani Post Hasil Karne k Liye Is Link Par Visit Kare :
www.faizeroohani.wordpress.com
No comments:
Post a Comment