Tuesday, 29 November 2016

● ASMA E HUSNA :- (یَا اللّٰهُ) YA ALLAHU ●

■  AMALIYAT E ASMA E HUSNA  ■

♥ Asma e Husna :-    (یَا اللّٰهُ)
YA ALLAHU Ki fazilat o Wazaif

★ "ALLAH" Ye Khaliqe Qaynat ka Zaati Naam Hai. Is Naam K Alawa Baki Sab Sifati Naam Hai. Lafze ALLAH k Kul Adad 66 Hai. Muhaqqikin Ka Manna Hai K ALLAH ye Naam Isme Aazam hai. Is Ism Ka Zikr Kai Silsilo Me Karwaya Jata Hai.

★ Agar Koi Shakhs 40 Din Tak Rozana Kisi Pak Saf Jagah Par Tanhai Me Baith Kar Khushbu Laga Kar Shariat K Faraiz Ki Pabandi K Sath Rozana 3125 Bar Padhe To Is Ism ki Zakat Ada Ho Jayegi Aur Wo Is Ism Ka Aamil Ban Jayega. Aur Fir Rozana 313 Bar Is Ka Zikr Zindagi Bhar K Liye Kiya Kre To Is Ki Barkate Bayan Karna Na Mumkin Hai

★ Chishtiya Sabriya Silsile K Baaz Mashaikh e Kiram Is Isme Pak Ko Rozana 24000 Bar Padha Hai Aur Isi Wazife Ki Badaulat Unhe Wilayat e Kubra Ka A'ala Maqam Ata Hua Hai.

★ Agar Is Isme Pak Ko Rozana 1000 Bar Padha Jaye To Quwwate Iman Wa Yakeen Me Izafa Hoga Aur Nigah Se Batin K Parde Hat Jate Hai. LEKIN Aisa Izne Khudawandi Aur Fazle Khudawandi Ki Buniyad Pe Hota Hai.

★ Agar Koi Shakhs Kamil Yakeen K Sath Har Jum'aa K Din Asar Aur Magrib K Darmiyan 200 Bar Is Isme Pak Ka Zikr Karne Ka Mamool Bana Le To Us Ki Dunyavi Mushkilat Khatam Aur Maali Pareshaniya Dur Ho Jayegi.

★ Agar Is Isme Pak Ko Sache Yakeen Se Rozana 1000 Bar Maaldar Hone Ki Niyat Se Padha Jaye To Padhne Wala Ek Saal Me Sahibe Maal Ho Jata Hai

★ Agar Koi Mareez Acha Na Hota Ho Aur Gharwale Us Ka Ilaj Karwa Kar Tang Aa Gaye Ho To Har Namaz K Bad Ye Isme Pak 6 Bar Padh Kar Mariz P Dam Kare Aur 66 Bar Padh Kar Pani p Dam Kar K Pilaya Kare Insha Allah Kuch Wakt Me Sehatyab Ho Jaye

★ Agar Kisi Jaiz Kam Me Rukawat Aa Gayi Ho Aur Banda Chahe K Ruka Hua Kam Ho Jaye To Dil Me Niyat Rakh K Is Isme Pak Ko 40 Din Me 1,25,000 Bar Padhe Aur Rozana Jinta Bhi Padhe Us K Bad Dua Jarur Kare To Ruka Hua Kam Pura Hoga Aur Agar Koi Dili Khwahish Hogi Ya Hajat Darpesh Hogi To Wo Puri Hogi

★ Agar Koi Shakhs Rozana Bad Namaze Fajar 1000 Bar Aur Bad Namaze Isha 1000 Bar Padhe To Wo Mustajabud Da'awat Ban Jayega (Lekin Zindagi Bhar k Liye Padhe Kabhi Naga Na Kare) Aur Har Wo Jaiz Dua Jo Us Ki Zuban Se Niklegi Wo Fauran Qubul Hua Karegi

★ Jo Banda Ye Isme Pak Har Namaz K Bad 1000 Bar Padha Kare To Us Ka Dil Duniya Se Mutanaffir Ho Jayega Aur Yade Ilahi Ki Taraf Maeel Ho Kar Sirf ALLAH Ki Ibadat Me Laga Rahega Aur Ishaq e Ilahi Naseeb Hoga

★ Agar Kisi Ko Esa koi Marz Ho Jo Dawa Se Bhi Thik Na Hota Ho To Mariz K Gharwale Mil Kar Ye Isme Pak Jo 125000 Bar Padhe Aur Dua Kare Aur Pani P Dm Kar K Fir Wo Pani Mariz Ko Pilaya Kare Insha Allah Shifa Hasil Ho

★ Agar Koi Shakhs Kisi Na haq Jhagde Me Fans Gaya Ho Aur Us K Khilaf Court Me Case Ban Gaya Ho To TARIKH wale Din Ye Isme Pak Ka Lagatar Vird Jari Rakhe Aur Dil Me Insaf K Liye Dua Krta Rahe. Agar Wo Haq P Hoga To Faisala Usi K Favour Me Aayega

● Is Isme Pak Ka Khas Amal :

یَا اَللّٰهُ الْمَحْمُوْدُ فِیْ کُلِّ فِعَالِهِ یَا اَللّٰهُ

Ye Amal Kaza e Hajat Aur Digar Har Kam K Liye Mujarrib Hai. TARIKA Is k Padhne Ka Ye Hai K Pehle 40 Din Tak Rozana 4444 Bar Padh Liya Kare Us K Bad Rozana 313 Bar Vird Me Rakhe. Insha Allah Har Jaiz Hajat Gaib Se Puri Hogi Har Jaiz Kam Me Gaibi Madad Hasil Rahegi. Hamesha Tandurast Rahega. Har Jagah Izzat Hasil Hogi Aur Esi Barkate Jin Ka Bayan Karna Na Mumkin Hai Zindagi Bhar Milti Rahegi. Is Amal Me Kisi Tarah K Koi Parhez Ki Jarurat Nahi Hai. Ye Amal Har Koi Kar Sakta Hai. Shart Ye Hai K Shariat Ka Paband Ho Aur Namaz Ki Pabandi Lazmi Hai. Amal Pak Saf Kapde Pahen Kar Kiya Kare.

◆ ROOHANI ILAJ Group me shamil hone ke liye Apna Name, whatsapp Mobile no. aur City name niche diye gaye no pe msg kare...
♥ ROOHANI ILAJ ki Purani Post Hasil Karne k Liye Is Link Par Visit Kare :

www.faizeroohani.wordpress.com

9 comments:

  1. Hum Allah Ka zikr karte Hain to ye jinn or mokil kyun aate hain

    ReplyDelete
  2. To hum agr zikr krenge to hum pr hawi nhi honge?

    ReplyDelete
  3. This comment has been removed by the author.

    ReplyDelete
  4. This comment has been removed by the author.

    ReplyDelete
  5. This comment has been removed by the author.

    ReplyDelete
  6. aapka youtube channel ka naam kya hai????

    ReplyDelete
  7. This comment has been removed by the author.

    ReplyDelete