Tuesday, 29 November 2016

● ASMA E HUSNA POST - 5 ●

■  AMALIYAT E ASMA E HUSNA  ■

            ♥  POST :- 5  ♥

★ Hamare Naam k Liye Kaun Se Asma e Husna Ka Zikr Behtar Aur Faydemand Hai Ye Janne Ka Sab Se Aasan Tarika Ye Hai K Sab Se Pehle Apne Naam K Adad Nikal Liye Jaye Aur Fir Un Adad K Mutabik Jis Asma e Husna Ke Adad Match Hote Ho Usi Ka Zikr Hamare Liye Behtar Hai. Jab Bhi Zikr Karenge To Naam k Adad + Asma e Husna K Adad = Target.... Is Quantity Me (yani double kar k) Padhenge

★ For Example :- Jaise Kisi Ka Naam JABIR Hai Jo Urdu Me Is Tarah (جابر) Se Likhenge. Is Naam k Kul Adad 206 Hote Hai. Ab Hame Ye Dekhna Hai k Kis Asma e Husna k Adad Is Naam Se Match Hote Hai..? Is Lihaz Se In K Liye Asma E Husna YA JABBARU (يا جبار) Hai. Ab Is Naam K Adad + Asma e Husna K Adad = Target. Yani 206 + 206 = 412. In K Liye Rozana (يا جبار) Ka Zikr 412 Karna Mufeed Hai

★ Aksar Kuch Naam Ese Hote Hai Jin K Adad Kisi Bhi Asma e Husna K Adad Se Match Nahi Karte. Us Wakt Ese Do (2) Asma E Husna Jin Dono K Adad Ka Total Hamare Naam K Mutabik Ho Un Ka Zikr Kiya Jayega

★ For Example :- Jaise Mera Naam ALTAF Hai. Jo Urdu Me Is Tarah (الطاف) Se Likhenge. Is Naam K Kul Adad 121 Hote Hai. Ab Kisi Bhi Asma e Husna K Adad 121 Nahi Hote. Ese Me Koi 2 Ese Naam Jin k Kul Adad 121 Ho Un Naamo Ko Mila Kar Un ka Zikr Kiya Jayega. Jis Hisab Se  Mere Liye Ye Asma e Husna  YA MUJEEBU YA ALLAH (يا مجيب يا الله) Hai Jin K Kul Adad 121 Hote Hai Aur 121 + 121 = 242 Bar Is Naam Ka Zikr Karna Mere Liye Faydemand Hai.

★ For Example :- Mere Ek Relative Jin Ka Naam IQBAL Hai. Jo Urdu Me Is Tarah (اقبال) Se Likhenge. Is Naam K Kul Adad 134 Hote Hai. Ab Kisi Bhi Asma e Husna K Adad 134 Nahi Hote. Ese Me Koi 2 Ese Naam Jin k Kul Adad 134 Ho Un Naamo Ko Mila Kar Un ka Zikr Kiya Jayega. Jis Hisab Se Un K Liye Ye Asma e Husna YA JAMIOO YA WADUDU (يا جامع يا ودود) Hai Jin K Kul Adad 134 Hote Hai Aur 134 + 134 = 268 Bar Is Naam Ka Zikr Kiya Jayega.

★ Naam K Adad Nikalne K Liye Aap Ko Apna Naam Urdu Language Me Kis Tarah Likhte Hai Ye Malum Hona Chahiye. Yaha Niche Jo App Ki Link Di Hui Hai Use Playstore Se Download Kar Lijiye Aur Fir Open Kar k Urdu Me Apna Naam Likhiye. Ye Software Aap K Naam K Adad Khud Ba Khud Calculate Kar K Bata Dega

Adad Calculator v 2.85 ( http://market.android.com/search?q=pname:com.zaifastafa.adadcalculatornew )

■ Insha Allah Agli Post Se Asma e Husna K Har Ek Naam K Fazail Ki Tafseel Post Shuru Hogi

✏   To Be Continue..... ✍

◆ Is msg ko jyada se jyada share kare.

●  ROOHANI ILAJ Group me shamil hone ke liye Apna Name, whatsapp Mobile no. aur City name niche diye gaye no pe msg kare...
+91 99795 78644

♥ ROOHANI ILAJ ki Digar Post Hasil Karne k Liye Is Link Par Visit Kare :

www.faizeroohani.wordpress.com

16 comments:

  1. Us calculator me "YA JABBARU" ka adad 217 aa raha hai aap ne 206 likha hai is ka khulasa kar di jiye...

    ReplyDelete
  2. adad nikalte wkt ya ke adad nahi gine jayenge. sirf jabbaru k adad nikale jayenge

    ReplyDelete
  3. adad nikalte wkt ya ke adad nahi gine jayenge. sirf jabbaru k adad nikale jayenge

    ReplyDelete
  4. Mera naam
    Wahid Ahmed Qureshi hai
    Addad nikalane mai sirf
    Wahid Ke hi adad nikalane hoge
    Rahnumai farmaye

    ReplyDelete
  5. Mera naam muhammed hai mere liye koi jikr
    Bataiye aur kitni baar pardna hai yeh bhi batiye

    ReplyDelete
  6. Assalamu alaikum mera naam rukhsar hai or is naam k liye konsa asmae husna padhna h or kitne br batae

    ReplyDelete
  7. As salaam wa alaikum
    Hazrat

    Namaz ki paband Karna chod Diya ramazan ke baad itna gunhagaar main kaise hi Gaya muje Kuch samaj me Nahi as Raha aur apni rozi roti bhi chali jari na koi rozi na koi barkat rehnumayi kijiye

    ReplyDelete
    Replies
    1. wassalam
      namazo ki pabandi fir se kar lo. sare problems solve ho jayenge

      Delete
  8. Assalamualaik, Kya hum 2 se jyada mubarak namo ko mila sakte hain adad pura karne ke lia. Example - mera adad 293 hain so kya main 4 name se adad pura kar sakta hu ki mujhe 2 hi name ko chunna hoga adad ko pura karne ke lia

    ReplyDelete
  9. Mera name SYED HASNAIN ALI HAMDANI hai. Kya main apnay poray name kay adad nikalo ga yah sirf 'HASNAIN' ka adad nikalo. yah 'ALI' bhy sath shamil kron.

    And agr iek sy ziyada ism.e.azam nikal rhay hoon... phir main konsa apnay wird main rkho.? HASNAIN ALI ka adad 288 nklta hai.
    Ab en main say konsa name wird kron?

    》》 Al-Sami(180) + Al-Haq(108)=288

    》》 Al-Baru(202) + Al-Badiyu(86)=288

    》》 Al-Kabiru(232) + Al-Mubdiu(56)=288

    》》 Al-Adl(104) + Al-Muqadim(184)=288

    ReplyDelete
  10. Mera naam imran Hain muje urdu nahi aati please mere naam ka kul adad banai ye aur mere liye kunsa zikr Karna jarori hain

    ReplyDelete
  11. Assalamalaikum mera name
    Muhammad zahid
    Mere name ke adad ke hisaab se
    Allah paaq ka kon se name ka zikar karu.

    ReplyDelete