Saturday, 21 October 2017

● ASMA E HUSNA :- (یَا حَکَمُ) YA HAKAMU ●

        ■ AMALIYAT ASMA E HUSNA ■

♥ Asma e Husna :- Ya Hakamu (یَا حَکَمُ) Ki fazilat o Wazaif

★ Allah Ta'ala Ka Ek Isme Pak Hai Ya Hakamu. Yani Ai Hukm Wale. Allah Ta'ala Ki Sifat Hakam Ka Matlab Ye Hai Ke Kaenat Ki Har Chiz Par Us Ka Hukm Chalta Hai. Yani Wo Hakim Mutallik Hai. Hakim Wo Hota Hai Jis Ka Hukm Bina Koi Takleef Ke Har Hal Me Tasleem Karna Pade Aur Wo Hukm Har Kisi Par Har Hal Me Har Wakt Lagoo Ho. Wo Jab Chahe Aur Jo Chahe Hukm De Aur Kisi Ko Us Muamle Me Ta'ammul Na Ho. Is Lihaz Se Allah Ta'ala Har Makhlooq Par Hakim Hai. Ye Isme Pak Jalali Hai Aur Kul Adad Qamari Is Isme Pak Ke 68 Hai

★ Ye Isme Pak Husule Iktedar Ke Liye Bahot Mujarrab Hai. Is Liye Jo Shakhs Zindagi Ke Kisi Sho'abe Me Iktedar Chahta Ho Use Chahiye Ke Is Isme Pak Ko Rozana 340 Bar Padhne Ka Mamool Bana Le. In sha Allah Wo Sahibe Iktedar Ban Jayega Aur Wo Bila Chu Cha Ke Us Ka Hukm Mante Rahenge

★ Agar Koi Banda Election Me Kamyabi Chahta Ho To Rozana Chalte Firte Kasrat Se Isi Isme Pak Ka Har Dam Vird Karta Rahe. In sha Allah Kamyabi Payega

★ Agar Koi Shaskh Court Me Judge Ke Ohde Par Ho Aur Chahta Ho Ke Wo Hamesha Sache Faisle Krta Rahe Ya Kisi Shakhs Ko Kisi Mas'ale Me Khandan Walo Ne Ya Mohalle Ya Samaaj Ke Logo Ne Faisla Karne Ki Zimmedari Di Ho Aur Wo Chahta Ho Ke Us Se Sahi Faisla Ho To Faisle Ke Agle Din Isha Ke Bad Ye Isme Pak 1000 Bar Padhe Aur Allah Se Dua Kare. Fir Dusre Din Allah Ka Naam Le Kar Subah Faisla Kare

★ Baaz Buzurgo Ka Kehna Hai Ke Is Isme Pak Ko Wakte Tahajjud Kasrat Ke Sath Padhne Se Roohani Asrar Khul Jate Hai. Is Liye Is Isme Pak Ko Ba Wakte Tahajjud Padhna Bhi Beshumar Barkato Ka Zariya Hai

★ Ek Aur Qaul Hai Ke Is Isme Pak Ko Rat Ke 12 Baje Uth Kar Ba Wuzu Padhna Shuru Kare Yaha Tak Ke Padhai Me Behad Magan Ho Jaye To Us Ka Batin Raushan Ho Jaye Aur Us Ka Dil Noore Ilahi Se Bhar Jaye

★ Agar Koi Shakhs Is Isme Pak Ko Har Namaz Ke Bad 68 Bar Hamesha Padhne Ka Mamool Bana Le To Allah Ta'ala Us Par Apna Khas Fazl Farma Kar Use Sahibe Iqtedar Bana Dega

★ Aksar Esa Hota Hai Ke Bacha Paida Hone Ke Bad Kisi Wajah Se Bolna Nahi Sikh Pata Ya Chah Kar Bhi Bol Nahi Pata. Ese Wakt Me Rozana Ye Amal Kare Ke Jafran Se Chini Ki Plate Par Is Isme Pak Ko Likh Kar Zamzam Se Ya Barish Ke Pani Se Dho Kar Bache Ko Pilaya Kare To Bacha Bolne Lagega

★ Agar Koi Shakhs Is Isme Pak Ko Ek Rat Me 68000 Bar Padh Le To Us Par Israre Ilahi Munkashif Honge, Us Ke Batin Ke Parde Khul Jayenge In sha Allah

★ Agar Koi Shakhs Is Isme Pak Ko Nek Niyat Se Sirf Allah Ki Riza Ke Liye Chalte Firte Kasrat Ke Sath Padhta Rahe To Us Se Koi Deeni Dunyavi Baat Chup Nahi Sakegi Aur Sab Haal Use Maloom Ho Jaya Karega

★ Aisa Haakim Ho Chahta Ho Ke Us Ki Hukumat Der Tak Qayam Rahe To Is Isme Pak Ko Rozana 1100 Bar Pabandi Se Padhta Rahe. In sha Allah Us Ki Hukumat Hamesha Qayam Rahegi Aur Qaum Us Se Khush Rahegi

★ Jo Shakhs Is Isme Pak Ke Naksh Ko Juma Ke Roz Sa'at Zohra Me Qanda Karwa Kar Anguthi Me Pehnega To Zehan Tez Hoga Aur Hafiza Qawi Hoga

★ Jo Shakhs Is Isme Pak Ke Adad Me Apne Naam Aur Apni Maa Ke Naam Ke Adad Ka Total Mila Kar Kul Adad Ke Mutabik Har Namaz Ke Bad Padhta Rahe To Allah Ta'ala Use Faham Aur Hikmat Inayat Farmayega

★ Buzurgo Ne Farmaya Hai Ke Agar Koi Shakhs Isha Ki Namaz Ke Bad Is Isme Pak Ko 500 Bar Pabandi Ke Sath 40 Din Padhta Rahe Us Ko Rizk Ki Tangi Se Najat Milegi

★ Agar Koi Shakhs Is Isme Pak Ko Zindagi Bhar Ke Liye Rozana 68 Bar Padhne Ka Mamool Bana Le To Us Bande Me Adal o Insaf Karne Ki Salahiyyat Paida Ho Jayegi

★ Agar Koi Chahe Ke Is Isme Pak Ka Aamil Ban Jaye To Parhez Jalali Aur Jamali Ke Sath Chille Ki Tamam Sharait Par Amal Karte Hue 40 Din Tak Rozana Isha Ke Bad 20400 Bar Padhta Rahe To 40 Din Ke Bad Aamil Ban Jayega. Us Ke Bad Rozana 68 Bar Padhta Rahe. Aamil Banne Ke Bad Is Isme Pak Ka Naksh Jarurat Mand Logo Ko De Sakta Hai

◆ ROOHANI ILAJ Group me shamil hone ke liye Apna Name, whatsapp Mobile no. aur City name niche diye gaye no pe msg kare...

+91 99795 78644

● ROOHANI ILAJ ki Purani Post Hasil Karne k Liye Is Link Par Visit Kare :

www.faizeroohani.wordpress.com

No comments:

Post a Comment